Wednesday, April 22, 2015

CUBE ROOT OF ANY NUMBER IN 2 SECONDS

Latest Updated Exam / Guess / Model Solved Papers - Answer Keys - http://syllabus123.blogspot.com/


Good Tricks

CUBE ROOT OF ANY NUMBER IN 2 SECONDS


PEHLE YE DEKHEN -
1³ = 1
2³ = 8
3³ = 27
4³ = 64
5³ = 125
6³ = 216
7³ = 343
8³ = 512
9³ = 729
10³ = 1000

LAST DIGIT PAR DHYAN RAKHEN, EXAMPLE 4³ = 64 , 4 KE CUBE MEIN LAST DIGIT 4 HEE RAHEGEE,

 EXAMPLE : 274625 KA CUBEROOT NIKALNA HAI,
 ISKO 3 KE PAIR MEIN LIKH LO - 274 &  625

625 MEIN LAST DIGIT 5 HAI, AUR 5 KE CUBE MEIN HEE LAST PLACE 5 HOTA HAI.
TO CUBE ROOT KA IKAI ANK - 5

AB 274 KO LO, YE 6 KE CUBE 216 SE BADA HAI, AUR 7 KE CUBE 343 SE CHOTA HAI

ISLEEYE CUBE ROOT KA DAHAI ANK - 6

ANS (CUBE ROOT) : 65


KUCH LOGO NE TARK KIYA KEE 1331 PAR YEH FIR NAHIN BETHTAA, ISKO BHEE LETE HAIN

1331 KO 3 SANKHYA KE PAIR MEIN TODO = 1 AND 331.

331 MEIN IKAYEE ANK 1 HAI, ISLEEYE CUBE ROOT KA INAKYEE ANK = 1

AB 1 KO LEN, 1 Ka cube 1 (se bada ya barabar hai), aur 2 ke cube se chota hai. Matlab ,
cube root ke dahai ka ank = 1.

ANS = 11